Wednesday 20 July 2016

whatsapp ke new top secrets - hindi me gyan

Whatsapp ke new top secrets 


Hi friends aaj me aapko whatsapp ke khuch aise secrets batane wala hu jo aapko sayad hi pata hoga. aapko to pata hi hoga ki whatsapp ek messenger app hai jiske jariye ham audio, video, documents, messages, file, share kar shakte hai.
whatsapp ajkal har android me install hota hai din pe din iski logpriyata bhi badhti jaa rahi hai aur mai aaj apke liye whatsapp ki khuch new  tricks le kar aya hu jo aapko shayad hi pata honge.
To chaliye jannte hai whatsapp ke new top secrets.

*1 mobile me 2 whatsapp or facebook chalane ki trick

whatsapp last seen disable kare

aap shayad hi jaante honge ki whatsapp ne last seen disable karne ka option diya hai.agar aap apna last seen disable karna chahte hai to en steps ko follow kare.

1. whatsapp ko open kare
2.ab apne phone ke menu button par click kare.
3. ab setting >> account>> privacy me jaye.
4.wha aapko last seen ka option dikhega 
5. last seen ke option par click kare aur nobody select kar de
ye lijiye ab aapka last seen koi nahi dekh payega

Whatsapp message shedule

agar aap apne message ko shedule karna chahte hai to. aapko message sheduler for whatsapp app ko download karna hoga aur aap usse apne message ko shudule kar sakenge.

Janiye aapke frend ne message kab padha

agar aap janna chahte hai ki aapke friend ne message kab padha to ye bohot aasan hai bas aapko karna hai ki .
aapne jis message ko send kiya hai hai usay select karke hold kijiye aapko delete se pehle (i) symbol dikhega uspar click kijiye aur aapko usme dikh jayega ki aapne mesaage kab bheja  aur aapke friend ne message kab padha.

Janiye aapko kisne kiya hai block

agar aapko shak hai ki aapko kisi contact ne block kiya hai. To aap use group me add kijiye. agar usne aapko block kiya hoga to wo add nahi ho payega aur aapko ye message dikhai dega " not authorized to add this contact" 

Profile picture kare hide

agar aap chahte hai aapka profile picture koi na dekh paye to aap en steps ko follow kare.
1. whatsapp ko open kare
2. ab apne phone ke menu button pe click kare
3. ab setting >>account >>privacy >> profile>> picture>> nobody par click kare
ye lijiye ab aapka profile picture koi nahi dekh payega

Bina blue tick lagaye padhe message


aapko pata hi hoga ki jab aap kisi ko message bhejte hai to uspar √ tick lag jata hai aur jab wo message aapke friend ko mil jata hai to uspar √√ double tik lag jata hai aur jab aapka friend message padh leta hai to √√ tick blue ho jata hai. agar aap chahte hai ki aap apne friend ka message padh le or uspar blue tick na lage to en steps ko follow kijiye .
1. whatsapp ko open kijiye
2. ab apne phone ke menu button par click kare.
3. setting>>account>>privacy ab aapko niche read recipt ka option dikhega ab aap uspar click kare.
ab aap apne friends ka message bhi padh lenge aur apka friend sochega ki aapne message abhi tak nahi padha.

mujhe ummid hai aapko meri post achchi lahe to ese apne fruends ke saath share jaroor kare

0 comments:

Post a Comment