Tuesday 19 July 2016

Oily skin se kaise chuthkara payd - hindi se gyan

Har ladki aaj sundar chehra chahti hai. Sundar twacha ke liye chehre ki twacha ka swasth hona bohot jaruri hai. Agar aapki skin oily hai to aapko kai pareshaniyo ka samna karna pad sakta hai. Jaise ki oily skin walo ka rang gora hone ke bawajud bhi thoda kala najar aata hai. Sath hi aesi skin walo ko muhase aur bleakheads ki samasya kuch jyada hi hoti hai.Iske alawa oily.skin par makeup bhi nahi tikta hai. Isliye teliya twacha wali ladkiya makeup karne se bhi darti hai. Aur wo dare bhi kiu naa agar wo makeup karengi to unki skin oily hote hi unka pura make up idhar udhar ho jayega.Agar aap bhi yaha batai gayi samasya se pareshan hai to ham aapko bata de ki kuch tips ko apnakar iss pareshani se chuthkara payiajaa sakta hai. Bus oily skin ko anya tarike ki skin se jyada dhyan rakhne ki jarurat hoti hai.Iss tarah ki skin par dhul aur gandagi bahut jaldi jamti hai. Jiski wajah se muhase hona aam baat hai. To aaiye jaante hai oily skin se kaise chuthkara paye .

Skin ki safai


Oily Skin ke andar sabse pehle aati hai skin ki safai. skin se atirikt tel hatane ke liye yeh sabse jyada jaruri hai. Iske liye aapko din mai kam se kam teen bar apne chehre ko dhona chahiye. Ek subah uthne ke baad, ek baar sham ko aur ek bar sone se pehle. Iske alawa kahi bahar se aane ke baad bhi chehre ki gandagi ko saaf karne ke liye chehra dhoye. Aap iske liye kisi acchi company ka facewash ya besan ka istemaal kar sakti hai.



tamator lagaye

Oily skin ko dur karne ke liye tamatar ka parayog bhi behtar vikalp hai. Tamatar mai twacha ko saaf karne or tel sokhne ke gun hote hai. Iske istemal bhi bahut hi saral hai. Tamatar ke ras ko ek katori mai nikalkar rakh le fir rui ki sahayata se chehre par lagaye. 15 minute rakhneke bad paani se chehra dho le.

Kheera hai fayedemand

Kheera vitamins, minerals, magnesium or potassium se bharpur mana jata hai jo ki Oily skin ke liye Astringent ka kam karta hai. Yeh skin ko thandak dene ke sath sath atirikt tel ko nikalne mai bhi madad karta hai. Twacha se tel ko nikalne ke liye rat ko sote waqt apne chehre par kheere ke tukado ko achhi tarah se ragad le ya fir aap chahe to iska ras nikalkar bhi laga sakte hai.

Cream ka use na kare

creams dry skin people ke liye hoti hai. Ye skih ko dryness dur karne me help karti hai. Oily skin ke people to phele hi oil se preshan rehte hai to creams ka use bilkul na kare.

Bharpur pani piye

Pani ko aapna dost bana lijiye. Kyuki ye aapki skin related adhe se bhi jayda problems se khud fight karta hai. To pani pite jao aur skin ko healthy banate jao.


Inko bhi try kare

1.Multani mitti ko pani mai bhigokar ise chehre par 20 minute tak lagaye fir thande pani se chehre kodho le.

2.Oily Skinse rahat pane keliye shahad ke sath badam ko milakar ek mishran taiyar kare fir ise chehre par laga le.

3.Paita aur chandan ke powder ka mishran banakar chehre par lagane se twacha ka tel kam hone lagta hai.

4.Teliya twacha ke liye Vitamin B faydemand mana jata hai. Isliye apneaaharo mai Vitamin B se bharpur bhojan  jaise ki dane aur falliyo ko shamilkarna chahiye.

5.Chehre se tel ko nikalne ke liye dahi ka proyog kare. Dahi thanda hota hai aur isme teliya twacha se ladne ki kshamta hoti hai. Ise lagane ke liye besan ya firdaliye ko milakar 15 minute tak chehre par laga le fir thande pani se dho le.

0 comments:

Post a Comment