Monday 18 July 2016

mardo ke liye gore hone ke tarike

mardo ko gorapan pana koi bohot mushkil kaam nahi hai. Ajkal mardo ko bhi gorapan chahiye. Lekin mahilayo ke mukable mardo ke liye nuskhe bahut hi kam hai. mard aksar dhul, mitti  pollution aur sunlight ka samna jyada karte hai jiske karan mardo ka chehra kala pad jata hai. Hum apko kuchh kargar aur asan tarike bata rahe hai jisse ap apna rang nikhar sakte hai.


mardo ke liye gore hone ke tarike



Bharpur pani piye

sharir me pani ki kami se aapke skin bhi such jati hai aur rang dhalne lagta hain, aise me jaruri hai ki aap pani khoob sara piye. Ek research me paya gaya hai ki jo log pani adhik pite hai unke skin cells hamesha gubbare ki tarah fule rahte hai jiski wajah se unka chehra jyada gora aur healthy dikhai deta hai. Isliye din me kam se kam 8 glass pani jarur piye.

chehra dhoye


Roj Subah Sham apne chehre ko pani se dhoye. Specially agar aap kahin bahar se ghum kar aa rahe hain to apna face dhona bilkul na bhule. Yun to market me kayi face wash milti hain, lekin natural face wash jaise ki nimbu aur aloevera ya phir neem ka face wash hi apne skinke liye istemal kare. Iss tips ko aap ajmane se chehre ki impurities dur ho jati hai aur chehre ke pores bhi khul jata hai.

Chehre ko saaf rakhe

Nimbu ka ras nikal le aur phir rui me dubakar face par lagaye. 15 minute baad aap apne face ko dho de. Yeh men logo ke liye natural bleach hai. Isse chehre me kale dhabbe nahi honge aur pimples bhi aapse door hi rahenge.

Besan ka istemal kare

besan me nimbu ka ras aur thodi haldi  dalkar paste bana le aur ise chehre pe lagakar rakhe rahe. esse aapki skin ki khubsurti me nikhar aata hai aur skin ki tannig (saolapan) bhi kam hoti hai.

Santare aur dahi ka mask


Kya aap jante hain ki santre me chehre ko gora karne wale gun hote hai, jo chehre me chamak lata hai. Aap 2 chammach santre ke chhilke ka powder aur 3 chammach dahi (curd)ko acche se mix paste banaye. Is paste ko chehre par mask ki tarah lagaye. Bass 15 minute ke liye mask ko l sukhne ke baad chehre ko saaf pani se na dhokar gulabjal se dho le. Aisa kuchh dino tak karne se aapke chehre me gorapan aane lagta hai.

Paryapt neend le

Agar aap chahte hain ki aapka skin hamesha young aur fresh deekhe to apni neend kabhi kharab nahi kare.kam se kam 6-8 ghante ki neend jarur le. Puri neend lenge to aapki aankhon ke neeche dark circles nahi honge aur rang bhi down nahi hoga.

 Sunscreen lagana na bhoole

Sun ki ultraviolet rays ki wajah se bhi aapke face ka skin kala ho jata hain. Hamesha dhoop me nikalne se  pehle chehre me sunscreen cream lagaye isse aapka chehra dhoop me kala nahi hoga.

Honey lagaye

Honey ek moisturing agent hai.  skintone problem ke liye to jaise ye sanjeevani buti hai. Honey ki ek khaas baat ye hai ki ye har skin ko suit karta hai. 1 chammach honey me 2-3 boond nimbu ka ras mila le aur apne poore chehre par laga le or das minute baad dho le esse roj karne se aapke skin me chamak ayegi.


0 comments:

Post a Comment